"Wo Momin jiski Allah ne is Duniya me Dua qubool nahi ki , wo ye chahega ke kaash uski ek bhi Dua qubool na hoti , Jab wo Aakherat me Beshumar INAAM/BAKSHISH dekhega , Jo uski un Duao'n ke badle me milenge jo is Duniya me qubool nahi hui aur usgar is Duniya me jo Dukh aur Pareshani hui."
- Imam Jafar Sadiq (as.)
Ref : A Bundle of Flowers
"Mujhe Ta'jjub hai Fanaa ke ghar (DUNIYA) ko aabaad karnewale aur Baqaa ke ghar (AKHERAT) ko Tark karne wale par."
- Imam Ali (as.)
Ref : Meezan ul Hikmah , Vol : 6
"Jo Shakhs 2 logo'n me DUSHMANI daale ya unka Rishta kaate to Allah uspe Gazabnak hoga aur Duniya aur Aakherat md Lanat karega."
- Rasool e Khuda (saw.)
Ref : Sawabul Amaal & Iqaabul Amaal
Imam Kazim (as): Rasule Khuda (saww) ne farmaya ke jaise ek shakhs ka IMAAN badhta hai, uski nazar me aurato'n (ladies) ki izzat badh jaati hai.
(Kashkol)