Pages

Hikmat ki baate

Imam Sadiq{as}
"Shabe Juma Salwat Padhna 1000 Nekiyo Ke Barabar Hai, Jisse Hazaar Gunah Mitaa Diye Jate Hai Or Hazaar Darze Buland Kiye Jate Hai..
>Nehjul Asraar
P.618 V.2

Imam Ali (as)
se kisi ne poochha ke agar koi shakhs Tauba kar ke phir gunaah kare aur phir Tauba kare to uska kya banega?
Aap ne farmaya, "Allah usay maaf kar dega."
Sawaal karne waale ne kaha ke kitni baar insaan ke liye Tauba ki gunjaaish maujood hai?
Aap ne farmaya, "Jab tak Shaitan azaad hai oos waqt tak Tauba ki gunjaaish maujood hai."
(Tafseer Noor us Saqlain, v2, p317)

Imam Reza (as)
se sawaal kiya gaya ke Allah Ta'ala ne Firoun ko kyun garq kiya (paani mein duboya) jab ke wo Allah par Imaan le aaya tha aur Uski Tauheed ka iqraar kar chuka tha?
Aap ne farmaya,"Iski wajah ye hai ke wo azaab ko aankho'n se dekhne ke waqt Imaan laya tha aur oos waqt ka Imaan qaabil e qubool nahi hai.,,,"
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p167)

Imam Ali (as):

Qaribi Rishtedaaro'n ki Dushmani bichchu ke dank se ZYADA DARDNAAK hai. (Meezan ul Hikmah, Vol6)
🌹Imam Ali (as):🌹

"Logon ki zindagi me Us Nmk Ki Tara rho. Jo Khany Me to Dikhai Nahi Deta

Lekin

Aagr Na Ho To Uski Kami Bohat Mehsoos Hoti Hy.