Pages

Wahab Bin Amr (behlol e dana)

Topic aib
  Imam Sadiq (as): Aaqao'n (Masters) ki tarah dusro'n ke aibo'n (defects) ko NA dekho balke Gulamo'n ki tarah apne aibo'n ki taraf dhyaan do. (Meezan ul Hikmah, Vol7)
(HGS)

Wahab Bin Amr (behlol e dana) , Imam Jaffar Sadiq(A.S) ka shaagird the jis ne Imam Musa Kazim(A.S) ka zamana bhi dekha.

Riwayat 1:------------Haroon Rasheed k daur mein Jub Imam Musa Kazim(A.S) per Zindaan mein shadeed tareen sakhtiaan dhayi ja rahi theen, usi waqt Imam(A.S) k chahnay walon per zindagi tung ki ja rahi thi.Haroon lanati ne bauhat se nam-war logon se Imam Musa Kazim(A.S) k qatl ka fatwa talab kia. Wahab bin Amr inkaar k nataaij se waaqif tha, lihaza Imam se rah-numayi ki darkhwast ki aur Un ki hidayat per DEEWANA ban kar apni jaan bachayi.

Riwayat 2:------------Wahab bin Amr ka jurm Aal-e-Muhammad(S.A.W.W) se aqeedat mandi tha. Jub usay pata chala k anqareeb usay bauhat se MUHIBBAN-e-Ahl-e-Bait(A.S) k sath giriftaar kar k qatal kar dia jaye ga, us ne bauhat mushkilon se Imam seraabta qaim kia. Imam per is qadar sakhti thi k Imam(A.S) ne kisi cheez per urdu/Arbi ka sirf aik harf "JEEM" likh kar bahar phainka.Is "JEEM" se Wahab bin Amr ne "JUNOON" ka mafhoom nikaala, aur deewaangi ikhtiyar kar li. Laikin isi deewangi, bachon jaisi harkaton, aur maskharay pan mein wo zarurat k waqt is qadar danish-mandi ki baatain kar jate k log hairaan reh jatay. Wo pagal bhi kehlaate aur mushkil masaail mein unhi k faislon ko ahmiat di jaati, Unho ne haroon Rasheed aur Abu Hanifa se le kar bauhat se logon ko kayi dafa la-jawab kar k rakh dia.Is sab k bawajood koi ye sabit nahin kar pata thak wo DEEWANA nahin hai. Yehi kamaal hai k wo dar-haqeeqat Aal-e-Muhammad(S.A.W.W) k deewane hain.[Is Muhib-e-ahl-e-bait(A.S) ka asal naam zayada tar log ya jaantay nahin thay ya bhool gaye thay.Ye Bohlol k naam se mash'hor hue, jis k ma'nai hein aisa deewana jis ne deewangi ka mafhoom badal dia aur DANISH-e-BURHAANI k mani samjhaye. Ye wo tanha pagal deewana kehelwanay wala hai jo danish-mandon ko hikmat o danish sikhaate hai]

--------------------------------------------------------------------Abu Hanifa dars o tadrees mein masroof tha k Aashiq-e-Ahl-e-bait(A.S) Hazrat BEHLOL ka guzar wahan se hua. abu Hanifa us waqt apne shagirdon se keh raha thay k mujhe IMAM JAFFAR SADIQ(A.S) se 3 baaton mein ikhtilaaf hai.(mazAllah)

1. Imam Jaffar Sadiq kehtay hein k iblees naar-e-jahannummein daala jaye ga, laikin mein is baat se ittifaaq nahin karta, kyun-k Iblees ki khalqat AAG se hui, bhala aag ko aag kia jalaye gi!

2. Imam Jaffar Sadiq kehtay hein k KHUDA ka deedaar mahaal hai, lakin mein ikhtilaaf karta hun kyun-k Khuda maujood hai, aur har Sahib-e-wujood qabil-e-deedaarhai.

3. Imam Jaffar Sadiq kehtay hein k Insaan apnay kaamon mein khud-mukhtaar hai, jub k mein kehta hun k tamam kaam Min-Janib ALLAH hain,Insaan ko apnay fail per koi ikhtiyar nahin.

Hazrat BEHLOL:------------------Behlol ne teenon masaail ko ghaur se suna, aur matti ka aik dhela Abu Hanifa ko maara aur bhaag niklay. Abu Hanifa ki peshaani per chot ayi aur wo apnay shaagirdon k saath Behlol k peechay bhaaga aur Behlol e dana ko pakar kar khalifa k darbaar mein pohanch gaya.

Behlol : Mujhe pakar kar kyun laye ho mein ne tumhara kia bigaara hai?
Abu Hanifa: Is ne mujhe Matti ka dhela maara hai aur meid shadeed dard mehsoos kar raha hun.
Behlol: Agar tu sacha hai tou mujhe apna dard dikha!
Abu Hanifa: Nadaan! dard bhi koi dekhne ki cheez hai! dard tou bus hai, mein dikha nahin sakta.
Behlol: Lakin kuch der pehle tou tum keh rahay thay k Jub Khuda maujood hai tou dikhayi bhi dega kyun-k har sahib-e-wujood qabil-e-deedaarhota hai.
AKHIR TUM APNA DARD MUJHE KYUN NAHIN DIKAHATAY!?

Behlol(Khalifa se) : App is se puchain mein ne isay kia maara hai?
Abu Hanifa: Janab is ne mujhe matti ka dhela maara hai jis se mujhe bauhat aziat pohnchi hai.
Behlol: Abu Hanifa! ye matti kaisay tumhein koi aziat pohncha sakti hai? Tum tou khud matti se banay ho. abhi tum keh rahay thay k Iblees jo khud Aag se paida hua ko jahannum ki aag kaisay jalaye gi!
Behlol(Khalifa se) : janab mein bilkul be-gunah hun aur ye mujhe na-haq saza dilwana chahtay hein.
Abu Hanifa: Tum ne mujhe matti ka dhela maara, tum kaisay be-gunah qarar paa saktay ho!?
Behlol: lakin kuch der pehlay tou tum apne shaagirdon se keh rahay thay k jo kuch bhi is jahan mein ho raha hai khuda ki taraf se ho rahahai, lehaza tumhein maarnay wala mein nahin bul-k KHUDA hai.____________________________________________ye sun kar Abu Hanifa samajh gaya k Behlol ne us k teenon nazriaat ko baatil kar dia hai. Haroon Rasheed ne bhi BEHLOL "DAANA" ki baatain sun kar muskuraya.