Pages

Greebi ka dhon na karo

Imam Ali (as):

Allah ne gareebo'n ki rozi ameero'n ke MAAL ME TAI (FIX) KI HAI. Lihaza, jab bhi koi gareeb bhooka rehta hai wo is liye ke kuchh ameero'n ne usay (uske haq se) mehroom rakkha.

(Kashkol). 

Imam Ali (as):

Amiri hai to Pardes bhi Watan hai aur Gareebi hai to Watan bhi Pardes hai.

(Meezan ul Hikmah, v7).

Imam Ali (as):

Sachchi Gareebi aur Amiri to Allah ke saamne haazir hone ke baad zaahir hogi. 

(Rizq)

Rasule Khuda (saww):

Jo gareeb hone ka dhhong (pretend) karega, wo gareeb ho jaayega. 

(Tuhaf ul Uqool).

Imam Sadiq (as):

Agar gareeb na hote to maaldaar Jannat mein daakhil nahi ho paate. 

(Mishkaat ul Anwaar)

Rasule Khuda (saww):

Jo kisi gareeb ko uska karz lautaane ke liye kaafi mohlat deta hai, to Allah usay Gunaah ki Tauba karne ke liye kaafi mohlat dega. 

(Nahjul Fasaha).

Rasule Khuda (saww):

Agar 40000 log bhi kisi gareeb ko Khairaat pahunchaane ka zariya bante hain to HAR EK ko apna alag aur POORA sawaab milega. 

(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal) 

Imam Ali (as):

Jo shakhs GAREEBI ka shikaar ho jaaye usay bahut zyada ye padhna chahiye "LA HAWLA WALA QUWWATA ILLA BILLAHIL ALIYYIL AZEEM".

(Meezan ul Hikmah, v7).

Imam Husain (as):

Jab koi gareeb tum se madad ki bheek maangta hai to uske zameer ko chot lagti hai. Lihaza, usay manaa karke uske zameer ko aur zakhmi mat karo. 

(Hadees of Imam Husain (AS). 

Imam Reza (as):

Agar koi kisi gareeb ko is tarah salaam karta hai jo ek maaldaar ko ki huwi salaam se alag hai, to Qayamat ke din wo Allah ko gazab / gusse mein paayega. 

(Mishkaat ul Anwaar)