Pages

La ilaha illallah

MUST READ

Hazrat Imame Sadiq(S.a) ne farmaya
"la ilaha il lallah" kehna jannat ki qeemat hai "
Sawabul aamaal wa aaqaabul aamaal ( naseeme bahisht ) shaikh sudooq a.r. page 13 hadees 12
.....................................................

Khuloos ke saath " la ilaha il lallah "
Imam e Jafar e Sadiq(S.a) ne farmaya
Jo khuloos ke saath la ilaha il lallah kahega wo jannat me jaayega aur khuloos se la ilaha il lallah kehne ka matlab ye hai ke jis cheez ko Allah ( Ahlebait s.a ) ne uske liye haraam qaraar diya hai , usse ruka rahe
Sawabul aamaal wa aaqaabul aamaal ( naseeme bahisht ) shaikh sudooq a.r. page 15 hadees 1
.....................................................

Hazrat Imam e Sadiq(S.a) farmate hain
Hazrat Muhammad(S.a.w.w) ne farmaya "Buland aawaaz se "la ilaha il lallah" kehne wala azaad hai or apne gunaho ko paawon se isterha roundata hai, jisterha darakht ke patte darakht ke neeche girte hain "
Sawaabul aamaal wa aaqabul aamaal ( naseeme bahisht ) shaikh sudooq a.r. page 15 hadees 1
.....................................................

Imam Raza(S.a) ne farmaya ke
Allah jjh ne farmaya La ilaha il lallah meri panaah gaah hai , jo meri panaah gaah me daakhil hoga wo mere azaab se mehfooz rahe ga magar sharto ke saath aur hum (S.a) un sharto me se hain"
Sawabul aamaal wa aaqaabul aamaal ( naseeme bahisht ) shaikh sudooq
.....................................................

"la ilaha il lallah" ki gawahi ki qubooliyat
Ek din Rasoole Khuda(S.a.w.w) apne ashaab me tashreef farma the  aur unme Hazrat Ali Ibne Abi Talib (S.a) bhi mojood the ( yaani tamam sharte moujood thi ) Aap(S.a.w.w) ne farmaya jo "la ilaha il lallah " kahega , wo jannat me daakhil hoga , waha baithe huwe 2 sahabiyo ne kaha hum bhi " la ilaha il lallah " kehte hain.
Hazrat(S.a.w.w) ne farmaya "la ilaha il lallah" ki gawahi to sirf Ali (S.a) or uske shio ki qubool hogi , unse Khuda jjh mut'aal ne "Ahdo paimaan" le rakha hai
In dono ne dobaara kaha ...hum bhi "la ilaha il lallah" kehte hain" us waqt Hazrat Rasool e Khuda(S.a.w.w) ne apna haath Hazrat Ali (S.a) ke sir per rakh ker farmaya "la ilaha il lallah" ki qubooliyat ki nishaani ye ( Ali S.a ) hai ke is se ( yaani Ali S.a se ) kiye huwe ahdo paimaan na todna , uski jagah per na baithna aur uski
(Ali S.a) ki baat ko na jhuthlana

Sawabul aamaal wa aaqaabul aamaal ( naseeme bahisht ) shaikh sudooq a.r. page 18 hadees 1
.....................................................

Farmaya Imam e Sadiq(S.a) ne
"la ilaha il lallah haqqan haqqa , la ilaha il lallah imaanan tasdeeqan , la ilaha il lallab aboodiyatan werqan " jo kahega 15 martaba Allah jjh tala uske chehre ki taraf mutawajje hoga or usse apna rukh nahi pherega , yaha tak ke ye jannat me dakhil hoga"