Pages

Imam Ali a.s ki wasiyat - last will

RABBE KAABA KI QASAM MAI KAMYAB HUA

Ali alaihissalam ki wasiyat

• Main tumhe khaufe khuda ki wasiyat karta hu.
• Khalqe dunya talbi se bacho agrche dunya tumhare gird chakkar lagay.
• Us chiz par afsos na karna jo tumhare haath na aasaki.
• Hamesha haq baat kaho aur us jahan ki jaza ki khatir kaam karo.
• Sitaimgaro se hamesha ladte raho aur mazlumo ke madad gaar raho.
• Tumhe aur apne tammam farzand aur azizo ko aur har us shakhs ko wasiyat karta ho jistak meri wasiyat pohche khuada ka khouf karo
• Apne kaamo ko munazzam rakho.
• Ek dusre ke darmiyan sulah aur aashti se kaam lo kyun ki maine tumhare jadde rasul (s.a) se suna ke farmaya logo ke darmiyan sulah karwana.
• Saalo ki namaz or roze se behtar hai khuda ke liye yatimo ka khayal rakhna unhe kabi bhuka aur ser (piyasa) na chhodna unhe uhi na samjhna.
• Khuda ke liye padosiyo ka khayal rakhna is ki sifarish rasul ne baar baar ki haike hame guman hone laga ke khi wirse me un ka hissa na qarar dede.
• Khuda ke liye Quran ka khayal rakhna kahi aisa na ho ke dusre log Quran par amal karne me tum par sabqat hasil karle.
• Khuda ke liye namaz ka khayal rakhna kyun ki tumhare din ka sutoon hai.
• Khuda ke liye kahi aisa na ho ke hajj ke mauqe par khane khuda ko tanha chhod do jitney din is dunya me ho baitullah ka khayal rakhna warna sakht azaab me mubtela ho jaoge.
• Khuda ke liye raahe khuda me naam , jaan , zubaan ke zarye jihad karte rehna.
• Tum sab par aapas me milkar rahna aur ek dusre ko maaf karne ko main zaruri qarar deta ho kahi aisa na ho ek dusre se muh mod kar taluqaat khatam kardo
• Amrbil maruf aur nehi anal munkar ko tark mat karna warna bad tareen log tumpar hukmaran ho jayenge aur us waqt dua karoge to dua qubul nahi ki jai gi.
• Aiye aulade abdul muttalib main musalmano ke khoon me tumhare haathoko aaluda na dekhu ye kehte hue na dikhaike Amiral momineen ko qatl kiya gaya hai janlo ke mere qatil le alawa kisi aur ko mere badle namaar na aur dekho main agar iski ek zarbat me maragaya to ose bhi ek hi zaebat lagana aur uske haath pair aur digar aaza ko na katna kyun ke maine rasul se suna hai ki murda ke aaza aur jaware ko mat kato agar se wo murda kisi pagal kutte ka hi kyun na ho.