Pages

Mere liye sirf Allaah subhanahu Ta'ala hi kafi hai

Bismillahirrahmanirraheem

1. Kehdijiye mere liye Allah hi kaafi hai. 
(Surah At-Taubah - 129)

2. Kya Allah apne bande ke liye kaafi nahi hai. 
(Surah Az-Zumar - 36)

3. Tumhara parwardigaar hi kaarsaaz kaafi hai. 
(Surah Al-Israa - 65)

4. Tum kuch bhi nahi chah sakte magar wahi jo Allah Rabbul Aalameen chahey. (Surah At-Takvir - 29)

5. Aur Allah hi kaarsaaz kaafi hai aur madad ke liye bhi Allah hi kaafi hai. 
(Surah An-Nisaa - 45)

6. Aap tawakkul (bharosa) kijiye galib wa meharbaan par. (Surah Ash-Shu'araa - 217)

7. Kehdijiye ke mujhe Allah hi kaafi hai ahle tawakkul ko isi par tawakkul karna chahiye. (Surah Az-Zumar - 38)

8. Aur Allah hi momino ka kaarsaaz hai. 
(Surah Ali'imran - 68)

9. Aur Allah hi par bharosa rakho, wahi kaarsaaz kaafi hai. (Surah Al-Ahzaab - 3)

10. Allah ke siwa koi ibaadat ke layak nahi hai, to momino ko sirf usi par bharosa rakhna chahiye. 
(Surah At-Taghaabun -13)

11. Wahi mashrik wa magrib ka maalik hai, uske siwa koi ibaadat ke laayak nahi, to usi ko kaarsaaz banao. 
(Surah Al-Muzzammil - 9)

12. Bas aap Allah par bharosa kijiye, beshak aap wayez sacchayi par ho. 
(Surah An-Naml - 79)

13. Aur har momin ko Allah hi par bharosa karna chahiye. (Surah Ibraheem - 11)

14. Aur tumhe jo kuch diya gaya hai wo dunya ki zindagi ka faida hai aur jo Allah ke paas hai wo behtar aur qayam hai aur wo unke liye hai jo sirf apne Rabb par bharosa rakhte hai. 
(Surah Ash-Shura - 36)

15. Aur jo koi Allah par bharosa karega to Allah usko kaafi hoga. 
(Surah At-Talaaq - 3)

16. Aur har tawakkul karne wale ko Allah par hi tawakkul karna chahiye. 
(Surah Ibraheem -12)

17. Ae nabi (ﷺ ) Allah aapko kaafi hai aur unko bhi jo aapke pairo hue hai. 
(Surah Al-Anfaal - 64)

18. Tawakkul kijiye us zaat par jis ko maut nahi uski taareef k sath paakizagi karte rahiye wo apne bando ke gunaho se aagah hai. 
(Surah Al-Furqaan - 58)

19. Balke tumhare maula to Allah hai aur wo behtareen madad karne wala hai. 
(Surah Ali'imran - 159)

20. Aur agar tum muh fer lo to jaan lo ke tumhara maula to Allah hai behtareen dost aur behtareen madadgaar. 
(Surah Al-Anfaal - 40)