Pages

Cold - sardi zukham

Riwayat:

Ek din Salman e Farsi ko zukaam (sardi / flu) huwa tha. Wo sar baandhe huwe H. Ameerul Momeneen (as) ki khidmat mein haazir huwe.

Imam (as) ne puchha, "Kya huwa?"

Unhone kaha, "Aqaa, mere sar mein dard hai". Imam (as) ne farmaya, "Insaan ke badan mein 6 aisi ragein (veins) hain jinki harkat se Khuda insaan ko 6 bimariyo'n se bachaata hai.

*1)* Agar kisi ke paagal hone ka khatra ho to Allah usay zukaam mein mubtela kar deta hai taaki junoon ka marz aariz na ho. Dimaghi quwwat ke liye zukaam faayde-mand hai, albatta shart ye hai ke insaan parhez kare.

*2)* Agar kisi ke andha hone ka darr ho to Allah usay aankho'n ke dard mein mubtela kar deta hai kyun ki aankho'n se jo kasaafat aur gandagi nikalti hai wo andhepan se maane' (rukaawatt) hai.

*3)* Jab insaan ko marz e bars (vitiligo) ka khatra hota hai to Khuda phodey-phunsiyo'n (boils) ke marz mein mubtela kar deta hai. Jo gandagi wagairah oon zakhmo'n se nikalti hai, ye bars ke marz se rukaawatt hoti hai.

*4)* Agar marz e bawaasir (piles) ka khatra ho to edhiyaa'n (soles) phatt jaati hai. Maalum nahi ke edhiyaa'n phattne se bukharaat (vapors / bhaap) khaarij hote hain agar ch aziyyat aur takleef hoti hai.

*5)* Aur agar juzaam aur kodhh jaise marz ka khatra ho to naak ke andar baal oog aate hain…Naak ke baalo'n ko jadd se na ukheddein balke kaattein (do not pluck the hair in the nose from the root, but cut them).

*6)* Agar TB ki bimari ka khatra ho to khaa'nsi (cough) ki bimari mein mubtela kar deta hai taaki seene se balgham saaf ho jaaye.

(Tafseer Surah Hadeed - Ayatullah Dastgaib Shirazi, p45)