Ek gaun wala Shehar me kuch Logo ko Football Khelte hue Dekh raha tha, Usko Hairat hui ke, Itne Saare Log milkar Ek Ball ko kyun Laato Se Peet Rahe Hain..
Usne ek Buzurg Se Puchaa" Chacha Is Gend ki kiya Galti hai jo ye Saare milkar iss ko Peet Rahe Hain..??
Chacha ne Jawaab diya Ke, iss ki sab se badi Galti ye hai Ke ye Andar se KHAALI Hai Agar ye Andar se Khaali na Hota toh kisi ki Majhaal Nahi Hoti usse Laat Maarne Ki..
Aaj Hum Tamaam INSAANON Ka Yahi Haal Hai..!!
Imaan Bas Hamaari Zubaan Par Hai aur Andar Se Hum Khaali Hain aur shaitan hame football ki tarah istmal karraha hai ..
#Silent_message