BAAB E FATIMA (s.a.) KA JALAYA JANA
'Allama Majlisi' Alaehir Rahma farmate hain ke maene kitaab e 'Sulayem bin Qaes' meN ye waqeya is tarha dekha hai ke 'Salman' aur 'Abdullah ibne Abbas' ka bayan hai ke jis din Janab e Rasool e Khuda (s.a.w.w.) ne rehlat farmayi , usi din (abhi aapko dafn bhi na kiya tha) siwaye chand ke sabne baeyat tod di aur murtad ho gaye , aur mukhalifat par kamar basta nazar aane lage.Us waqt Ali ibne Abitalib (a.s.) tajheez o takfeen e Rasool (s.a.w.w.) meN mashghool the phir wo uske baad hasb e wasiyat e Rasool (s.a.w.w.) 'Quran e majeed' ki jamao tarteeb meN masroof ho gaye.Un logoN se unhe koi sarokaar na tha.Ek 'Musheer' (Umar ibnul Khattab ne 'Abu Bakr' se kaha ke ab tamam log tumhari baeyat kar chuke haiN siwaye us shakhs (Alia.s.) ke aur uske ghar waloN ke.Lehaza uske paas kisi ko bhejo aur use bhi bulwao.Abu Bakr ne un (Ali a.s.) ke paas 'Qunfuz' naami ek shakhs ko bheja aur kaha ke ay Qunfuz ! Tum Ali (a.s.) ke paas jao aur kaho ke chalo tumhe khalifa e Rasool (s.a.w.w.) talab karte haiN.Qunfuz aapko bulane ke liye kai baar aaya magar Maula Ali (a.s.) jaane se inkaar karte rahe.Unke inkaar par Abu Bakr ke us musheer (Umar ) ko ghussa aaya aur usne 'Khalid bin Waleed' aur 'Qunfuz' ko hukm diya ke tum log 'lakdiyaN' aur 'aag'lekar mere sath chalo.Chunaanche ye log aag aur lakdiyan liye Maula Ali (a.s.) aur Bibi Zahra (s.a.) ke darwaze par pahonche, us waqt Bibi Zahra (s.a.) apne darwaze ke peechhe baethi hui thiN.Aapke sar par patti bandhi hui thi aur Rasool (s.a.w.w.) ki wafaat ke gham meN bilkul laaghar aur kamzor ho rahi thiN.Wo musheer (Umar) aage badha aur usne darwaza khatkhataya aur awaaz di , "Ay Ali (a.s.) ! Darwaza kholo".Bibi Zahra (s.a.) ne kaha , "Ay Umar ! HumeN isi haalmeN chhod de isliye ke humeN to Rasool (s.a.w.w.) ka gham hi bahot kaafi hai".Umar ne kaha , "darwaza khol do warna maeN tumhare ghar meN aag lagaye deta huN".Bibi Zahra (s.a.) ne farmaya , "Ay Umar kya tum Khuda se nahi darte aur mere ghar meN zabardasti dakhil hona chahte ho"?Is par Umar ne aag aur lakdiyaN lekar darwaze ko jala diya aur dhakka dekar khol liya.Bibi Zahra (s.a.) saamne thiN unhone faryaad ki ,"Ay baba , Ya Rasool Allah (s.a.w.w.)"!Ye sun kar Umar ne apni 'talwaar' maE neyaam ke Bibi (s.a.) ke 'pehlu' par maari.Unhone ek 'cheekh' maari.Phir usne unke hath par zarb lagayi , Bibi (s.a.) phir cheekhne lagiN "ay baba"!CheekhoN ki awaaz sun kar Maula Ali ibne Abi Talib (a.s.) fauran daude aur Umar ka gareeban pakad karzor se jhitka diya , jiski taab na lakar wo zameen par gir gaya.Aapne uski 'naak' aur 'gardan' par zarbeN lagayiN aur uske qatl ka irada kiya , tabhi Rasool (s.a.w.w.) ki waseeyat yaad aayi ke AaNhazrat ne is mauqe par sabr karne ki takeed farmayi thi.Maula Ali (a.s.) ne farmaya , "Ay Umar bin Al Khattab maeN uski qasam kha kar kehta huN ke jisne Muhammad (s.a.w.w.) ko nabi bana kar izzat bakhshi , agar Allah (swt) ne mujhse pehle se hi ahed na le liya hota to tumlog mere ghar meN dakhil hi nahi ho sakte the".Itne meN Umar ne apne dusre sathiyoN ki madad se Maula Ali (a.s.) ke gale meN rassi daal di aur unhe khaeNch kar bahar le gaye.Ye dekh kar Bibi Zahra (s.a.) ne madakhlat ki lekin Qunfuz (l.a.) ne aapko aesa taziyana maara jiska nishaan marte dam tak baaqi raha.Jab aapne darwaze ke peechhe panah li to usne darwaza zor se aapke upar daba diya jisse aapki pasli toot gayi aur jo 'bachcha' (Mohsin a.s.) aapke shikam meN tha wo saqit ho gaya.Uske baad aap musalsal beemar rahiN yahan tak ke aapne isi aalam meN wafat payi.*{Note - Ravayat ka kuchh hissa naql kiya gaya hai , mukammal ravayat kitab e Sulayem meN maujood hai}(Kitaab e Sulayem bin Qaes e Hilali,Behar Al Anwar , jild - 3 , safha - 206/207,'Sahih Al Bukhari/Baab Al Khums' , 'Sahih Muslim/jild 2/safha 91' , 'Tareekh e Tabari/jild 3/safha 198'}- In kutub meN kam o besh ye ravayat maujood hai!
अस्करी रज़ा
Askari Raza
On whatsapp