Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya:
Hamaray liay baaes e zaib o zeenat bano. Hamaray liay baaes e Sharmindagi na bano. Hamain Logon kamahboob banaao aur Logon ko Hum se nafrat na dilaao. Hamari taraf Logon ki muhabbat khaincho aur Hum se har qisam k shar aur Fisaad ko door rakho (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni.
Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 337 Hadis no 8 Aakhri Hisa)
Mola Ali (AS) ne farmaya:
Jab Allah kisi bande ko zaleel karna chaahta hai to ilm kadarwaza uske liye band kar deta hai.
Ref : Tajalliyate Hikmat (Ilm)
Mola Ali (AS) ne farmaya:
Haq se badhkar taarif karna CHAAPLUSI hai; aur haq se kam taarif karna ya to bolne ki kamzori hai ya phir HASAD (jealousy) hai.
Ref : Tajalliyate Hikmat (Taarif)