ðððððððð
Aye Rabb-e-jahaa'n !! Panjetan-e-paak ke khaliq
Is qaum ka daaman Gham-e-Shabbir se Bhar de.
ðððððððð
Baccho ko ataa kar Ali Asgar ka tabassum
Budho ko Habeeb Ibne Mazahir ki nazar de.
ðððððððð
Kamsin ko mile walwal-e-Aoun-o-Mohammed
Har ek jawaa'n ko Ali Akbar ka jigar de.
ðððððððð
Maao ko sikha Sani-e-Zehra ka saleeqa
Behno ko Sakina ki duaon ka asar de.
ðððððððð
Ya Rabb !! Tujhe beemari-e-Abid ki qasam hai.
Beemar ki raaton ko shifa-yaab seher de.
ðððððððð
Muflis pe zar-o-laal-o-jawaahir ki ho barish
Maqrooz ka har qarz adaa ghaib se kar de.
ðððððððð
Paband-e-rasan Zainab-o-Kulsoom ka sadqa
Be-jurm aseero ko rihaayi ki khabar de.
ðððððððð
Jo Maayein bhi roti hai ba-yaad-e-Ali Asgar
Un Maaon ki aagosh ko aulaad se bhar de.
ðððððððð
Jo Haq ke tarafdaar ho woh hath ataa kar
Jo Majlis-e-Shabbir ki khaatir ho woh ghar de.
ðððððððð
Qismat ko fakat khaak-e-shifa baksh de Maula
Main ye nahi kehti ke Mujhe laal-o-gohar de.
ðððððððð
Aankho ko dikha Rauza-e-Mazloom ka manzar
Qadmo ko Najaf tak bhi kabhi Izn-e-Safar de.
ðððððððð
Jo chadar-e-Zainab ki azadar hai Maula
Mehfooz rahe aisi khawateen ke parde.
ðððððððð
Gham koi na de humko siwa-e-gham-e-Shabbir
Shabbir ka gham baant raha hai to idhar de.
ðððððððð
Kab tak rahoon dunya me yateemo ki tarah Main
Waaris mera pardey me hai, zaahir usey kar de.
ðððððððð
Manzoor hai khwaabo me hi Aaqa ki ziyarat
Parwaaz ki khwahish hai na Jibreel ke par de.
ðððððððð
Jis dark e sawaali hai farishtey bhi, bashar bhi
Aawara-e-manzil hoon, mujhe bhi wohi dar de.
ðððððððð
Jo deen ke kaam aaye woh aulaad ataa kar.
Jo katt ke bhi ooncha hi nazar aaye wo sar de.
ðððððððð
Khairaat-e-dar-e-shaah-e-Najaf chahiye mujhko
Salman-o-Abuzar ki tarah koi hunar de.
ðððððððð
Sehraaon me Abid ki musaafat ke siley me
Bhattke huwe rehro ko samardaar shajar de.
ðððððððð
Sar par ho sada parcham-e-Abbas ka saaya
'Mohsin' ki dua khatm hai, ab isko asar de.
ðððððððð
ELAHI AAMEEN