Malang


Ban gaye hai kuch malang kala kapda oodh kar

Raat bhar karte hai matam wo namaze chod kar

Ittehaad ho hum me, wo pasand karte nahi

Mutma'een hojate hai jo rishte nate todh kar

Lafz 'lanat', 'nasl' hatyaar hai un ke liye

Karte hai kamzor imaa'n haq me batil jodh kar

Aayate quraan ki, aasaan hai un ke liye

Naqli tafseerey bana lete jo maatha phod kar

Yeh malang to zuljana aur parchame abbas a.s ki

Shah ke ijlaas me tauheen karte daud kar

Raasta unka jahannam hai faqat yeh jaan lo

Chal diye jo bhi zeeshan haq se chahra modh kar