Hikmat ki baat

Hazrat Rasul Allah (SAWW):

Ilm pura ek khazana hai jis ki kunji SAWAAL hai, Bas Poocho Khuda tum par rahem karega, Kyunke sawaal karne ki surat me char afraad ko Ujr-O-Sawaab milta hai, Sawaal karnewale ko, Jawaab denewale ko, Sunewale ko aur Jo inhain dost rakkhega usko.

(Beharul Anwar 144/74

Imam Sadiq (as): Jab tum ko Riqqat aa jaaye (Dil bhar aaye) to DUA MAANG LIYA KARO kyunki Riqqat tab paida hoti hai jab Dil me khuloos ho.

(Meezan ul Hikmah, v3)

  Imam Ali (as): Oos shakhs ke liye Khush-khabari hai jiske Naam e Amal mein Qayamat ke din HAR Gunaah ke niche ASTAGFIRULLAH likkha milega. 

(Meezan ul Hikmah, v7)

Imam Ali (as): Teen cheezo'n mein sharmaya nahi jaata - Apne mehmaan ki khidmat karna, Apne baap aur ustaad ke liye khada hona aur Apna Haq maangna..

(Tajalliyaat e Hikmat)

Imam Ali (as):

Agar ek aadmi doosre aadmi ko Faasiq (sinner), Khabees (indecent), Kaafir, Munafiq ya Gadha kahe to usay 39 kodey (lashes) maare jaane chahiye

(Gunaahaan e Kabeera, ch 12 Qazaf).

Imam Reza (as):

Jo shakhs aise Amaal Na bajaa la sakta ho jinse uske Gunaaho'n ka kaffara ho sake to usay chahiye ke Bahut Zyada SALWAAT bheje. 

(Meezan ul Hikmah, v3)

Imam Sajjad (as):

Aye Rab! Aisa NA ho ke majbuuriyo'n mein Tere siwa kisi aur se madad maangne ko achcha samajhne lagu'n, mujhe yu'n NA Aazmana.

(Dua e Makaarimul Akhlaaq).

Imam Hussain (as) ne Madine se nikalne se pehle farmaya:

Aagha Hojao ke main apne pasandeeda watan se dushamno aur zaalimo ki wajah se hijrat nahi kar raha hu balke ummat e Muhammadi ki islaah mere pesh e nazar hai.

(Riaz-ul-Quds v:1 pg:185)

Holy Quran:

"Yaqeenan, jo log paak-daman, be-khabar, momena aurto'n par gande ilazaam lagate hai, oon par Duniya aur Aakherat mein Allah ki la'nat hai aur bada sakht azaab hoga."

(Surah Nur, Surah 24, Ayah 23)