💠 *AZADARO'N SE KHITAAB* 💠
⭕ *Apne Maula ki Azadari ko ruswa na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
⭕ *Parcham-e-Hazrat-e-Abbas uthaate ho sada.*
*Farsh Shabbir ki Majlis ka bichaate ho sada.*
*Apne Ghar Fatema Zehra ko bulaate ho sada.*
*Jisse Zehra ho khafa, kaam tum aisa na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
⭕ *Kisne maanga hai Khuda se tumhe, ye yaad karo.*
*Apne Kirdaar se Shabbir ka Dil Shaad karo.*
*Be-Wajah umr ko apni na yun barbaad karo.*
*Apne Mazhab ka kabhi Naam yun neecha na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
⭕ *Tum Husaini ho Khuda ne ye Fazeelat bakhshi.*
*Tumko Zehra ne Dua de ke Sa'adat bakhshi.*
*Soorat-e-Karbobala me tumhe Jannat bakhshi.*
*Apni Jannat kisi Qeemat pe bhi becha na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
⭕ *Tum Azadar ho aapas me Tafreqa kaisa.*
*Bhai aur Bhai ke maabayn ye Jhagdha kaisa.*
*Kaam ye karke Gham-e-Shaah me rona kaisa.*
*Jab Husaini ho to aapas me Tafreqa na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
⭕ *Aayina Seerat-e-Zehra ko bana lo ab bhi.*
*Apni Naamoos ki Izzat ko bacha lo ab bhi.*
*Be-Rida inko na yun ghar se nikaalo ab bhi.*
*Apni Maa - Behno ko Lillaah Be-Parda na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
⭕ *Tum Namazo se kisi taur bhi Ghaafil na raho.*
*Ilm haasil karo, Lillaah yun Jaahil na raho.*
*Raah-e-Haq me karo koshish, kabhi Kaahil na raho.*
*Kisi aalam me raho, tark yun Sajda na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
⭕ *Tang-Dasti me, Qana'at ka tareeqa seekho.*
*Bhook aur Pyaas ke aalam me bhi Jeena seekho.*
*Karbala walo se marne ka Saleeqa seekho.*
*Karbala walo ki Qurbani bhulaaya na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
⭕ *Zulm aur Jaur ko dunya se mitaane wala.*
*Khoon ke aansu Gham-e-Sheh me bahaane wala.*
*Parda-e-Ghaib se aane ko hai Aane wala.*
*Dil ko Maula ke mazeed aur dukhaaya na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
⭕ *Apne Maula se na "Romaan" baghaawat karna.*
*Ek-Ik saans me Maula ki Ita'at karna.*
*Apne Imaan ki har Lamha Hifaazat karna.*
*Jee nahi sakte to mar jaao, Tamaasha na karo.*
*Tum Azadar ho, Kirdaar ka Sauda na karo.*
✍🏻 *_- "Romaan Rizvi"._*