*Gulshane zahra hai bikhra karbala ki khaak par*
✍1. Fauje a'ada ne bahaya karbala ki khaak par
Fatima ke khoo'n ka darya karbala ki khaak par
✍2. Isliye karte hain sajda karbala ki khak par
Khoo'n shahido'n ka mila tha karbala ki khaak par
✍3. Ta qayamat dhondhne ko ek yatima rah gayee
Laasha baba ka sakina karbala ki khaak par
✍4. Haye qasim haye akbar hay asghar mar gaye
Kya sitam zainab pe toota karbala ki khaak par
✍5. Khaak sar par daal kar saydaniya rone lagi
Bazo-e-ghazi jo dekha karbala ki khaak par
✍6. Sayyede sajjad ne shame ghariba, shaah ka
Be kafan dekha hy laasha karbala ki khaak par
✍7. Nikhat-e-deen-e-khuda ke wasate zeeshan dekh
Gulshane zahra hai bikhra karbala ki khaak par
✍Zeeshan Azmi